Proud to Serve Kitab & Sunna

 

تعتز بخدمة الكتاب والسنة

   

دار الكتاب والسنة   نشر و اشاعت كا بين الاقوامى اداره

     

English

1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | 11 | 12

اردو

عربي

Phir Chaley Jana

Sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana,
Jo mera or tumhara Waqt guzra hansne hunsanay main,
Use poori tarhan se tum bhulado phir chale jana,
Yeh sare perh podhe tum bin aik rut jage hain,
Tum aik aik baar inko sulado phir chale jana,
Kisi ko chahne ka aur kisi saychahe jana ka,
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana,
Bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka Jo fun aata hai tum ko, Wo sikhado phir chalay jana, Wo jo ek lafz-e-ulfat hai juda hai apne maan se,
Bus in alfaz-o-maan ko mita do phir chale jana,
Jo kehte kehte ruk gaye ho un sari batoon ki sama'at ko talab hai, Wo suna do phir chale jana,
Na jane kyun hai lekin dekhne ki tum ko aadat hai Meri,
yeh be-wajah aadat chura do phir chale jana,
Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan tum ho,
Mujie doosra unwaan tum laado phir chale jana!!!

 

Juda

Phool phool se juda hai magar shakh se nahin,
Hum tum se juda hain magar dil se nahin...

 

Hamarey jan

Yeh yad hai aap key ya yadon main aap hain,
Yeh khwab hain aap kay ya khwabon main aap hain,
Hum nahen jantay hamain bus itna bata do,
Hum jan hain aap key ya hamari jan aap hain.

 

Piyar Ho Jaye

Chalain Who qadm qadm jo sath mairy,
To us kay sath say piyar ho jaey,
Thamain jo piar say hath maira,
To apnay he hath sey piyar ho jaey,
Jis raat ain khowabon main Woh,
Us sohany rat sey piyar ho jaey,
Jis baat main aye zikar un ka,
To us baat sey piyar ho jaey,
Jab pukarain piyar say nam mera,
To apnay he nam sey piyar ho jaey,
Hota hai itna khobsourat yeh piyar agar,
To kash enhain bhe mairy piyar say piyar ho jaey.

 

Piyar

Boltey hai dostey chup rahta hai piyar,
Hansatey hai dostey rolata hai piyar,
Miltay hain dost joda karta hai piyar,
Phir kiun dostey choor kar loog kartay hain piyar.

 

Sapnay

Kitna bhe chaho na bhol pao gay hamain,
Jitna bhe dor jao nazdek pao gay hamain,
Mit saktey hon to mita do yadain hamary,
Mager keya sapnon sey juda kar pao gay hamain.

 

Saza

Na janey kis bat key hamain saza daitey hain,
Hamary Hanstey Ankhon ko rola daitey hain,
Ab to mud'dat say khabar nahen aatey un key,
Keya is tara log apnon ko bhola daitey hain.

 

Muhafiz

Aik haste aise hai,
Jo tumhain bohat chahate hai,
Jo tumara bohat khiyal rakhtey hai,
Her Waqt tumhain dhaikh rahe hai,
Her Waqt tumhary hifazt karty hai,
Socho kon hai Woh? "ALLAH"

 

1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | 11 | 12

2009 Dar al-Kitab wa al-Sunna, All Rights Reserved.